Monday 7 July 2014

Aaj eshsas ho raha haiki bhagwan bhi galat ho sakta hai...

Jo kisiko apni duao main mangta hai, kisiko wo bina mange hi mil jata hai.
Zindgi bar jisko pane ki tamana karta hai, wo kisi or ki bahaon ka har ban jata hai.

Kyu hai tu bhagwan itna krur dil, ki tujhe duaon ka asar bhi nahi nazar ata hai.
Tu karta hoga humare liye kuch or acha soch kar, lakin jo chand lamhe hume milte hai jeene liye uss main bhi main reh jate hai udas.
Deta hi kyu hai wo zingdi jiss main humko sirf rehti hai ad bhuji ki pyas.

 Mana ki tamanaon ki koi seema nahi, lakin dil to bas kisi ko apna banana chahta hai.
Aye mere malik ek raham kar mujh per, ye duniya main bas pyar karne walon ko juda kar.

Tadap Tadap kar mar jayenge wo panchi, jo zinda hi khuli hawa main rehte hai.
Ek boondh de de pyar ki, bas isi khawaish main log jeete hai.

Rota hoga tu bhi, jab do pyar karne wale bichadte hai.
Ek aansu tera bhi girta hoga, jisko hum barish kehte hai.

Pyar to zindgi ko sahara deta hai, par phir kyu tu kisko na koi kinara deta hai.
Log tujh per bharosa karte hai, tujhe apne jeevan ka rakshak kehte hai.

Kehte hai tujh main wo takat hai ki tu zingdi badal sakta hai, to meri bhi zindgi ke kuch sapne hare kar de. Mujhe meri mohobaat se mila de.

Main to ek miti ka putla hun, jiske maan main hajaron tamanaye hai.
Lakin mere takdir ke khidmatgar ek baar ye bhi to soch ki teri rehmat bhi to hum se hi hai. Na insan hota to tujhe puchta kon.

Na tera dedar hota na tu hota.

Bas khawish itni si puri kar de....jo mera hai wo mujhe arpand kar de.
Jiske sath jeene ke khwab dekhta hun usko mujhe se mila de.

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More

 
apidexin Online Marketing Free Web Directory Web Directories Web Directories